1)Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho
Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho
Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho
Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to
Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey
Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho
Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho
Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho
Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho
2)Kis qadar zulm dhaya kertey ho
Yeh jo tum bhool jaya kerte ho
Kis ka ab haath rakh ke seene per
Dil ki dhadhkan sunaya kerte ho
Hum jahan chaye peene jate thay
Kia wahan ab bhi aaya kerte ho
Kon hai ab ke jis ke chehre per
Apni palkon ka saaya kerte ho
Kiun mere dil mai rakh nahee dete
Kis liye gham uthaya kerte ho
Phone per geet jo sunate thay
Ab wo kis ko sunaya kerte ho
Akhiri khat mai usney likha tha
Tum mujhe yaad aaya kerte ho
3)kiya likhon tery naam sajan
tuje sochon subho sham sajan
tm neeli jheel ka pani ho
mohobbat ki ek kahani ho
tm pyar ka meethe bol ho
tm hr ek se anmol ho
tm aasan ka badal ho
tm mari aankh ka kaajal ho
tm mere mann ki jeet ho
mere labon ka geet ho
tm chaman me khilta gulaab ho
chahat se likhi kitaab ho
tm mere liye mere sanam ho
jo toot na sake wo kasam ho
kiya likhon tery nam sajan
tumhe sochoun subho shaam sajan
4)Ab uroj par hy tumhara mausam,
Khizan mein tum ko khareed leingy
Bano gy hum sy reham k talib,,
Na tum ko mohlat mazeed dein gy…
Ada k qissy hoey purany,,,
Jafa ka mausam khatm he smjho…
Kareingy tum sy hisab jana,
Na tum ko mohlat mazeed dein gy
Wafa ki lalach mein hum sy
Yaadon ny khoon apna sukha diya hy,,
Fraib o masti k badly tum ko
Saza bhi sun lo shadeed deingy…!
5)Daita raha faraeb koi sadgi k sath
itna bara mazak meri zindagi k sath,
shayed mili saza is jurm ki mujhy
k tha mujhy pyar aik ajnabi k sath,
wo zehr b daita rha dawa ki trha
itna bara salook meri sadgi k sath,
apna samj k jis k liye hm ujar gye
kal sham ja rha tha kisi ajnabi k sath...
No comments:
Post a Comment